Well, this is an interesting topic. Really interesting. Is baare me pehle bhi kayi baar kayi logo se kayi baatein kar chuka hoo aur jeevan paryant karna padega. Ye topic hi kuch aisa hai ki gaahe bagaahe har insaan k dil me nashtar ki tarah chubh hi jaata hai. Kal hi mere ek achhe dost se is topic par discussion hua. Socha ab yaha bhi thoda gyan baghar loo.
Anyway, To topic kuch yu hai ki aksar log ye kehte hai ki mai bahut achha hoo, par mera falana falana dost, rishtedar ya saath me job wagairah karne wala etc. etc. bahut bura insaan hai. Mai har kadam par sabka bhala sochta hoo, achhe karam karta hoo, fir bhi meri jeewan ki batti gul hai. Aur wo paapi insaan jo har kadam par sabko choona lagata hai, sabki raah me kaate bichata hai aur duniya bhar k bure karyakram karta hai, uska jeewan china made deewali lights ki tarah jagmaga raha hai. Aisa kyu? Kyo alltaala mere jaise bhole bhaale farishto ki madad nahi karta? Kyo paapi, dust, aasteen k saap, dhokebaaj, beimaan log jeewan me aage hi aage badhte jaate hai aur mai wahi k wahi khada ka khada hoo?
Now, I think iske peeche sab emotions ka haath hai. Koi pathhar dil ya maaya moh se upar utha insaan emotions se zyada hilta nahi. Na unme ulajhta hai. Definately iske peeche bahut se factors kaam karte hai. Insaan ka bachpan, uski parwarish, uska rahan sahan, uski ab tak ki zindgi, aachaar vichaar, siksha diksha. Ye sab sochne ka tareeka aur style decide karti hai. Achhe aur bure ka sense har insaan me hota hai. Kahi kam kahi zyada. Jo cheez achhe aur bure ka faisla karti hai usko normal duniyadaari ki bhasha me AntaraAtma kehkar bulaya jaata hai. Koi kisi ka bura karne ki sochne k naam se hi ghabra jaata hai aur kisi k liye bura karna maje karne ka tareeka hota hai. Par, Definately kisi beimaan, dhokebaaj, aasteen k saap prani ko achha to nahi kaha ja sakta.
So called achhe log most of the time isliye apni antaraatma k khilaaf nahi jaate kyoki ek darr unke dil me hota hai ki kal ko kya hoga. Ham galat karenge to hamare saath bhi galat hoga. Interestingly same darr so called bure logo me bhi hota hai. Maine aksar dekha hai ki apne karmo se ghabrakar insaan kuch zyada hi dhaarmik ho jaata hai. Ya yu kahe ki paap dhone me lag jaata hai. Dinbhar sabko choona lagane k baad shaam ko uparwale ka naam lekar shaanti se kha peekar so jaate hai. Wahi achhe log bhi usi tarah apne liye upar wale se laakho duaye maangkar bhale hi bujhe man se, par ek naye savere ki aas me pyar se so jaate hai.
Fir bhi, harpal, achhe praniyo k dilo dimaag me ye sawaal bana rehta hai ki kiya kya jaaye. Kab tak bure logo ki progress dekhkar allataala ko sawaal pooch poochkar halakaan karte rahe. Kab tak kisi bure insaan k dwara lagaye gaye choone ko yaad karke kudhte rahe.
So my so called achhe logo k liye kuch suggestions prastut hai jo unke poore to nahi par zyadatar sawaalo ka jawaab de denge. Sabse pehle to rona band karo yaar. Har insaan aage badhne k liye kuch
na kuch karta hai. Koi kadi mehnat karta hai, koi choona lagata hai, koi alag tikdam bhidata hai. Aap achhe hai, sachhe hai, mehnati hai to mehnat kariye. Kyo doosro ko dekh dekhkar kudhte hai. Kyo apni
khushiyo ko apni zindgi se kam karte hai. Bura bhala jo bhi hai har insaan kuch na kuch khoon pasina bahata hai, tab hi aage badhta hai. Tareeke alag hai bas. Koi kisi k liye apne jeene ka andaaz nahi badalta.
na kuch karta hai. Koi kadi mehnat karta hai, koi choona lagata hai, koi alag tikdam bhidata hai. Aap achhe hai, sachhe hai, mehnati hai to mehnat kariye. Kyo doosro ko dekh dekhkar kudhte hai. Kyo apni
khushiyo ko apni zindgi se kam karte hai. Bura bhala jo bhi hai har insaan kuch na kuch khoon pasina bahata hai, tab hi aage badhta hai. Tareeke alag hai bas. Koi kisi k liye apne jeene ka andaaz nahi badalta.
Fir bhi achha bura to hota hai na. To Jaha tak antaraatma ki baat hai to wo kayi logo me hoti hi nahi hai. I call it phenemenon of 'SoulLessNess'. Achha bura kuch nahi hota. Bas apna bhala karo aur aage badho ka funda hota hai.
So my dear so called achhe logo, Achhe karam karo aur aage badho. Agar aap maante hai ki achhai door tak jaati hai to khud par bharosa rakhiye. Kuch bure logo ki vajah se vichlit hone ki zarurat nahi. Bas alert rahe aasteeno k saapo se. Jaise ko taisa dena seekhiye. Aur doosre kya karte hai, kaise aage badhte hai, wagairah wagairah sochne ki jagah apne jeewan, job, pariwaar par dhyaan denge to zyada achha hoga. Jo bure hai wo bure hi rahenge aur jeewan paryant aage badhenge. Zindgi ki race me maange walo ko bas wahi milta hai cheen k le jaane walo se bachta hai.
So conclusion ye ki, Achha bura sochkar time kharab nahi karna. Bas apne andaaz me zindgi me aage badhna. Khud se nazre milane ki taakat rahe is dil me, bas.
Ummm... few comments, hope that helps.
ReplyDelete1. Keep the blog short, If you right a good blog, but its long people will not read it..
2. Nice thoughts
3. I agree with you, Kaam karte raho fal ki chinta mat karo, things will fall into there own place. I sincerely believe that good things will happen if you are good sooner or later..
Thanks for the suggestions.
ReplyDelete